Oye Raju Lyrics

Oye Raju Pyaar Na Kariyo Kariyo Dil Toot Jaata Hai
Chaahat Ki Baat Na Kariyo Kariyo Dil Toot Jaata Hai - 2
Dil Deewana Tu Na Aana Dil Ki Baaton Mein Soch Le
Oye Raju Pyaar Na Kariyo Kariyo Dil Toot Jaata Hai

Maine Apne Dil Ko Mere Dil Ne Mujhko Roka
Pyaar Hai Kya Ek Mast Hawa Ka Aata Jaata Jhonka
Oye Oh Maine Apne Dil Ko Mere Dil Ne Mujhko Roka
Pyaar Hai Kya Ek Mast Hawa Ka Aata Jaata Jhonka
Jaan Ganwa Baithe Jisne Khela Ye Khel Dilon Ka
Oye Raju Pyaar Na Kariyo Kariyo Dil Toot Jaata Hai

Phele Phele Pyar Ki Acchi Lagti Hai Barsate
Uske Baad Na Pucho Kaise Katati Hai Ratain
Raste Mai Rah Jate Hai
Raste Mai Rah Jate Hai Armano Ke Baraatain
Oye Raju Pyaar Na Kariyo Kariyo Dil Toot Jaata Hai
Chaahat Ki Baat Na Kariyo Kariyo Dil Toot Jaata Hai

Pyaar Mein Apni Jaan Bhi Ho Jaati Hai Cheez Paraai
Dil Mein Basne Waale Aksar Hote Hain Harjaai -2
Oh Oh Pyaar Mein Apni Jaan Bhi Ho Jaati Hai Cheez Paraai
Dil Mein Basne Waale Aksar Hote Hain Harjaai
Humne Bhi Sab Jaana Jab Chot Jigar Par Khaai
Oye Raaju Pyaar Na Kariyo Kariyo Dil Toot Jaata Hai
Chaahat Ki Baat Na Kariyo Kariyo Dil Toot Jaata Hai
Dil Deewana Tu Na Aana Dil Ki Baaton Mein Soch Le

Movie/Album: हद कर दी आपने (2000)
Music By: आनंद राज आनंद
Performed By: आनंद राज आनंद


Comments